Kya wajah hai likh pate nahi hai, Apne khayalat sunate nahi hai ! Ke kabil hum bhi hai kuch auron se kuch zyada, Kuch aur chahiye jo juta pate nahi hai !
Ek sukoon hi juda hai milta nahi hai, Bhid aur shor mei kuch dikhata nahi hai! Apni dikkaton ka ilaj dhundte dhundte, Apne hi liye kuch bacha nahi hai !
Hasratein zyada bhi ab bachi nahi hai, Shaunk aur josh bhi bacha nahi hai! Ek aarzu hai ki likh paun mai ek ghazal , Soch lekin dhadkano se mel khati nahi hai!
No comments:
Post a Comment