Friday, August 24, 2018

Dark SPACE

Be my gravity to hold me down
I feel so uncontrolled in the space around
It's all dark and cold in here
Spinning around and getting nowhere

Reaching for the stars regret flying so high
Went too far for you to hear me cry
God of darkness now singing in my ear
I can feel his breath, he is very near

Dont know how and when this end
Which way will my body descend
Dreamed a dream not deemed to me
Rather collapse back into you and be free

Sunday, July 29, 2018

Teri ungliyon ki harkatein

Teri ungliyon ki harkatein
Saaz aisa ched gayee
Marte dam tak rooh meri
Bhul na payengi kahi

Bajaya kuch aur tha tumne
Kehna kuch aur chaha tha
Suna kuch aur maine hai
Jo dil mei chipaya tha

Lafz kuch bhi ho janeman
Teri aawaz sachi hai
Ye jo tar hai jude
Ye sab kuch ab samajhte hai

Rab kare tere sab sur
Ab us maulah tak sun jayen
Baharein har ek dunia ki
Teri jholi mei pad jaye

Majboor hun, ke sach ko bhi samajh kar
Bhi mai gumsum hun
Meri har sans fir bhi khush hai chahta hu
Jahan ye tere naam kar du


तेरी उँगलियों की हरकतें
साज़ ऐसा छेड़ गयी
मरते दम तक रूह मेरी
भूल ना पाएंगी कही

बजाया कुछ और था तुमने
कहना कुछ और चाहा था
सुना कुछ और मैंने है
जो दिल में छिपाया था

लफ्ज़ कुछ भी हो जानेमन
तेरी आवाज़ सच्ची है
ये जो तार है जुड़े
ये सब कुछ अब समझते है

रब करे तेरे सब सुर
अब उस मौलह तक सुन जाएँ
बहारें हर एक दुनिया की
तेरी झोली में पड़ जाये

मजबूर हूँ, के सच को भी समझ कर
भी मैं गुमसुम हूँ
मेरी हर साँस फिर भी खुश है चाहता हूँ
जहाँ ये तेरे नाम कर दूँ

Friday, April 13, 2018

Sher

Sher hote hai lajawab sheron ke beech jab hote hai
Sher bhi sagey sheron ka saath chutne par rote hai
Par fitrat nahi sheron ki, Sher hona bhul jana
Ghayal sher baki sab sheron se khun-khaar hote hai

Monday, April 2, 2018

Kuch Kar

Har keemat par rok pana hai, Ae khuda bakshish kar..
Fir apna use banana hai, Zid meri tasleem kar

Mere ruthe ko manana hai, Koshishon ki tameel kar..
Khoya pyar jagana hai, Mausam fir rangeen kar

Barabar Baat

Har baat barabar ho na ho, Har shaksh barabar hota hai
Mai kar na saku ye baat alag, Mera zor barabar lagta hai

Tarikey har shaksh ke muqtalif hai, Har shaksh ka rasta ek nahi
Har shaksh anokha hai aur, Har shaksh ka maksad ek nahi

Har baat barabar ho jati, To baat kahan thi ladne ki
Niyat pe ilzaam karte ho, Ye baat ladai karne ki

Masla hota jo kudrat se, Har shaksh ek sa ho jata
Tum mei mujh mei koi farq nahi, Kudrat ne jo chaha hota

Har shaksh ko izzat deni hai, Bas itni baat samajhni hai
Jo baat samajh mei na aaye, To baat barabar karni hai

Tuesday, February 20, 2018

Mother


Air seeks lessons from your selflessness
Oceans shy from the depth of your heart
Lands still need more patience
Seems you stop them all from falling apart

Monday, January 15, 2018

Pay Day

I feel alive.. I feel good
It's pay day and so I should
In lieu of my dreams and that I could
The only thing that withstood

Honors me some mild giggles
Getting through parts of the struggles
Solve some crazy mysterious riddles
In core were just wooden nickles

Make some moves across graphs
Memories and photographs
Ensure my people healthy laughs
In story of mine which goes by halves

Helps sooth the torturous pain
Removes that darkness stain
Fills my people's stomach with some grain
Makes me go over again

Thursday, January 11, 2018

Shayri

itni umeedein, itni malumaat, itni shiddat !!
itna takalluf, itna ehsaas, itna pyar !!
aaj ehsaas hua...

hum tanha hi ache the! 


Itni ranjish ke ek salam ka bhi sil-sila nahi,
Aisi kurbat ki ab wajah kya hai !? ..
Ke dil to ab bhi jla krta hai tere tasavvur mei,
Aakhir gum ho tum hi saza kya hai !?



Ek Ghazal

Kya wajah hai likh pate nahi hai, Apne khayalat sunate nahi hai ! Ke kabil hum bhi hai kuch auron se kuch zyada, Kuch aur chahiye jo juta pate nahi hai !

Ek sukoon hi juda hai milta nahi hai, Bhid aur shor mei kuch dikhata nahi hai! Apni dikkaton ka ilaj dhundte dhundte, Apne hi liye kuch bacha nahi hai !

Hasratein zyada bhi ab bachi nahi hai, Shaunk aur josh bhi bacha nahi hai! Ek aarzu hai ki likh paun mai ek ghazal , Soch lekin dhadkano se mel khati nahi hai!